RTE Act 2009 | Right To Education Act 2009 in Hindi

Right To Education in india: India me 6-14 year ke bacho ko free or jaruri padai (study) ke liye ek adhikar adhiniyan (Act) banaya gaya hai 2009 me.. jiske baad jo bhi Bache hai unko Free me padhne ka adhikar hai apne najdiki school me.

Right To Education Act 2009 ko Short me RTE Act 2009 bhi kaha jata hai.

The Rights of Children Free and Compulsory Education Act, 2009 ka jo Official Document pdf aap niche di hui link se download kar sakte hai.

Right to Education Act 2009 pdf

Right to Education Act 2009 pdf in Hindi

RTE Right To Education Act 2009 in Hindi

Right to Education Act 2009 in Hindi

Right to Education RTE Act 2009 me banaya gaya tha, or isko lagu 2010 se kiya gaya hai. RTE Act 2009 kya hai or uske kya main phelu hai chaliye jate hai.

1: India ke sabhi 6-14 year ke bacho ke liye muft padai ka adhikar hai.

2: Har ek Bache ke liye 1 kilometer ke andar Prathmic school or har 3 kilometer ke andar madhyaic school hona jaruri hai, or agar aesa nahi hai to Hostel ya aane jane ke liye Vahan ka bandowast ho.

3: Bache ke admission ke samay kisi bhi trha se Paise ka magna mana hai. Iske sath hi jo Fees hai uske liye bhi mata-pita ko force nahi kar sakte.. aesa karne par saja bhi ho sakti hai.

4: Kisi bhi bache ko Prathmic Sikhcha puri karne se phele roka ya nikala nahi ja sakta.

5: Agar kisi bache ki umar 14 saal se jada hai or unki prathmic sikhcha puri nahi hui hai to unko bhi school me admission diya jayega.. or uski umar ke hisab se special training dekar admission diya jayega.

6: Viklang Bache bhi Niyam ke anusar School me padai kar sakte hai.

7: Kisi bhi Bache ko School me admission dene ke liye mana nahi kiya ja sakta, agar unke pass koi jaruri documents nahi hai fir bhi.

8: School me Admission lene ke liye kisi bhi tarha ki parikhcha dene ki jarurat nahi hai.

9: Kisi bhi bache ko fail karke ussi class me nahi roka jayega or 8th class pass karne tak kisi bhi bache ko school se nikala bhi nahi ja sakta.

10: School me bacho ke aadhar par Teachers ka hona bhi jaruri hai. 30 bacho ke upar ek teacher hona chaiye or har ek Teacher ke liye ek alag classroom hona chaiye.

11: koi bhi Teacher apni khudki Choching nahi chala sakte..

12: School me Ladko or Ladkiyo ke liye alag alag Sochalay (Toilet) hona chaiye.

13: Kisi bhi Bache ko Mansik or sararik dand nahi diya jayega..

14: Iss Act ke according, agar kuch bhi dikkat ho to sikayat karne ke liye Gav, Tehsil, Jila istar par vevasta hai..

15: India me Jammu Kasmir me RTE Act 2009 lagu nahi hota hai, iske aalawa pure Desh me isko lagu kiya gaya hai.

At Last: 

ab aap samaj chuke hai Right To Education in india (RTE) Act 2009 kya hai or kiske liye hai..

Agar aapne ye jankari read ki hai, matlab aapko RTE act ki jarurat nahi hai, q ki aap schoole gaye hoge jab hi aap ye sab read kar paye.. par agar koi aesa bacha dikhe jisko iski jarurat ho to unse iss jankari ko jarur share kare..

Aap ek choti si pehel kisi bache ki jindgi badal sakti hai.. 🙂

The post RTE Act 2009 | Right To Education Act 2009 in Hindi appeared first on Hindi Me Help.



from Hindi Me Help https://ift.tt/2PJbSFt
Share:

No comments:

Post a Comment

Categories

Ordered List

  1. Lorem ipsum dolor sit amet, consectetuer adipiscing elit.
  2. Aliquam tincidunt mauris eu risus.
  3. Vestibulum auctor dapibus neque.

Sample Text

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipisicing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua. Ut enim ad minim veniam, quis nostrud exercitation test link ullamco laboris nisi ut aliquip ex ea commodo consequat.

Definition List

Definition list
Consectetur adipisicing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua.
Lorem ipsum dolor sit amet
Consectetur adipisicing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua.

Support

Need our help to upload or customize this blogger template? Contact me with details about the theme customization you need.

Pages