Gmail Id Hack Hone se Kaise Bachaye [Google Security]

Hello Friends ham is post me baat karege security ki jo bhut hi jaruri hai har ek ke liye.. Aapne Hacking/Hack sabd to suna hoga, jiska matlab hota hai kisi dusre ke account ko uski permission ke bina open karna or usko use karna.. Khane ka Matlab agar koi hamara account hack kar leta hai to wo hamare account se kuch bhi kar sakta hai.

Mene apni Pichi ek Post me bataya tha ki ham kaise Facebook Account ko Hack hone se bachye or aaj ham is Post me dekhege kaise ham Apni Gmail Account ko Hack hone se bacha sakte hai or kaise uski security bada sakte hai jo bhjut jaruri bhi hai.

Gmail Account ki Security kitni jaruri hai wo aapko pata to hoga par ek war me or bata du ki agar hamari gmail ID ko koi hack kar leta hai to wo hamari id se kuch bhi kar sakta hai.. or agar aap Online kaam karte hai or agar aapka Important data online rhata hai to security aapke liye bhut jaruri hai.. Agar hamari Gmail ID ko agar koi hack kar leta hai to wo hamare Google ki jitne bhi account hai unko use kar sakta hai, unse kuch bhi kar sakta hai.

Gmail ID Hack hone se kya ho sakta hai

Hamari koi bhi ID Hack ho usse faida to kuch hona hai nahi, par fir bhi dekh lete hai kya kya nuksan ho sakta hai hamari gmail id agar hack ho jati hai to.

  • Agar hamara Blogger par Blog hai to wo bhi Hack ho jayega
  • Youtube Par Channel hai to wo bhi hack ho jayegi
  • Adsense Par account hai to wo bhi Hack ho jayega
  • Blogger Account Hack Ho jayega
  • Google+ Par Account hai to wo bhi Hack ho jayega
  • Email ID hack hone ki baja se uska kuch bhi galat use kiya ja sakta hai
  • jitni bhi jagah hamne hamari Email ID use ki hai account banane ke liye wo sare account bhi hack ho jayege jese Facebook, Twitter, Pinterest etc

Khane ka matlab hai agar hamari Email ID Hack ho jati hai or kisi ka usko password pata chal jata hai to wo hamare google ki jitni bhi service hai or jitni bhi jagha hamne hamari Email ID se account banaya hai wo sab hack ho jayegi.. Simple Sabdo me kahe to hamari Online jitni bhi ID ya Account hai un sab ko ham kho dege.. To agar aap chate hai aesa kabhi na ho to aapko ye post puri padni padegi jisme ham dekhege kaise ham apne gmail account ki security bada sakte hai or usko hack hone se bacha sakte hai

Ye Bhi Pade: Online Internet Par Aise Safe Reh Sakte hai [ Internet Safety ]

Gmail Id Hack Hone se Kaise Bachaye hindi me help

Google Gmail Account ki Security Kaise Badaye

Ek Baat me aapko bata du online kuch bhi 100% secure nahi hai, bhale wo kisi ka normal account ho ya fir Bank Account.. Hame hamari Security ka Diyan khud hi rakhna padta hai jab hi ham apne account ko bacha sakte hai hacking se..

To Chaliye dekh lete hai kya kya kar saktehai ham apne Gmail Account ko Hack hone se bachane ke liye.

1: Strong Password Use kare

Ye sabse phela Point hai ki hame apne Account ka Password majbut rakhna hai, bhut log yaha kya galti kar dete hai wo koi aasan password rakh lete hai ya fir khud ka hi mobile number rakh lete hai.. jo ki bhut badi bebakufi hoti hai.

To agar aapko Lagta hai ki aapka Gmail ka Password Aasan hai to aap usko turant Change kare.

Gmail Password Change kaise kare

  1. Sign in kare My Account ke
  2. Ab Sign-in & Security select kare
  3. Ab Password par click kare
  4. Ab aapko Fir se apna Gmail ka Password dalna hai
  5. Ab new Page Khulega usme apna New Password Dale

2: Gmail ka Password or kahi use naa kare

Bhut log kya karte hai ki apna jo password hota hai wo har jagha same rakhte hai, taki bhule naa.. Par aese me agar aapne kisi site par apna account banaya or wo hi password use kiya to site ke owner aapka gmail account hack kar sakte hai ya wo aapki information kisi se bhi share kar sakte hai jo ham kabhi nahi chate.. to Hamesa Alag alag password use kare..

Agar aap Password Bhul Jate hai to aap kuch software ka use kar sakte hai jese LastPass

3: Sign Out Kare Hamesa

Kabhi kabi Ham apne acount me sign karte hai or sign out karna bhul jate hai, aese me bhi koi hamare account ka galat use kar sakta hai.. to hamesa Sign Out kare

4: Remotely Sign Out Kare

Aapne agar kahi login kiya hai or aap logout karna bhul gaye hai to aap remotely bhi kahi se bhi logout kar sakte hai..

Remotely Logout ke liye GMail account me sabse niche corner me Detail ke option par click kare, uske baad ek popup open hoga, jisme aap jaha jaha bhi login hai wo aa jayega, jisme Sign Out All Web session par click karke Logout kar sakte hai.

5: 2 Step Verification On Kare

Agar Gmail Account ko hack hone se bachana hai, to Strong Password ke sath sath 2 step verification on hona bhi bhut jaruri hai.. taki Password pata hone ke baad bhi koi account ko access naa kar paye.

Gmail 2 Step Verification kaise On kare uski jankari yaha di hui hai.

6: Phishing se bache

Phishing Hacking ka sabse popular tarika hai, jisme Hacker bilkul same dikhne wala fake login page banata hai, jaha jese hi user apna ID or Password dalte hai wo Hacker ke pass chale jate hai.

Phishing se Bachne ka tarika haim hamesa login karne se phele URL ko achi se check kare.. or kisi bhi anjan link par click karke Login naa kare.

Gmail Security Check-Up kare

Account secure hai ke nahi, or kahi kuch risk to nahi wo check karne ke liye Google Account Security Check kare.. iske liye niche diye link par jaye.

Google Security Check-up 

Yaha sabse phele aapko GMail Account me login karna hai, uske baad sabse phela option hai Third Party Access..

Yaha jitne bhi Apps hai jo account ko access kar sakte hai, unki list aa jayegi.. agar koi aesa App ho jisko aap use nahi karte ya jo trusted naa ho usko Remove Access kare.

Gmail se third party Apps ko remove kare

Ab Login Device check kare, jisme Login hai.. agar koi aesa device ho jo aapka nahi hai to turant remove kare.

Login device check kare, agar trusted login naa ho to logout kare

Ye check karne ke baad, recent Account activity check kare.. kahi kuch aesa to nahi hua account me jisme risk ho..

jese agar last me recover option check kiya ho, ya password bagera change hue hai to yaha aa jayega.. jo bhi aaye agar wo aapne hi kiya hai to koi tension wali baat nahi hai.

recent me kuch change hua hai to check kareLast me 2 Step Verification On hai ke nahi wo check kare.. yaha 2 Step verification ke liye other Backup option hai wo bhi jarur on kare.. taki account ko dusre tarike se bhi access kiya ja sake.

gmail 2 step verification on kare or Backup set kare

Iss trha aap apne Gmail Account ko secure rakh sakte hai or Hack hone se bacha sakte hai.. Upar bataye points ko to hamesa dhiyan rakhna hi hai.. uske sath iss bato ka bhi dhiyan rakhe.

  • Browser ko Update rakhe
  • Computer me Badiya Antivirus use kare.
  • URL me https jarur check kare.
  • EMail Attachments ko open karne se phele SCAN kare.. (Online Virus kaise Check kare)
  • Recovery option add karke rakhe.
  • EMail Filter, Forwarding bhi check kare gmail me.
  • Security Question add karke rakhe.

At Last:

Ab aap Jaan chuke hai GMail Account kaise Hack ho sakta hai or kaise Gmail Account ko Hack hone se bacha sakte hai or kitna jaruri hai google account ko secure rakhna..

Agar aapka Gmail account hack hua to samjo aapke sabhi account hack ho sakte hai, isliye isko normally naa le or apne account ki security bilkul tight rakhe.

Aapko kya lagta hai, gmail account ko hack karna possible hai ke nahi wo comment me share kare.. or agar aapka koi sabal ho to jarur puche.

The post Gmail Id Hack Hone se Kaise Bachaye [Google Security] appeared first on Hindi Me Help.



from Hindi Me Help https://ift.tt/2OEUwJ3
Share:

1 comment:

Categories

Ordered List

  1. Lorem ipsum dolor sit amet, consectetuer adipiscing elit.
  2. Aliquam tincidunt mauris eu risus.
  3. Vestibulum auctor dapibus neque.

Sample Text

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipisicing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua. Ut enim ad minim veniam, quis nostrud exercitation test link ullamco laboris nisi ut aliquip ex ea commodo consequat.

Definition List

Definition list
Consectetur adipisicing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua.
Lorem ipsum dolor sit amet
Consectetur adipisicing elit, sed do eiusmod tempor incididunt ut labore et dolore magna aliqua.

Support

Need our help to upload or customize this blogger template? Contact me with details about the theme customization you need.

Pages