Online Free Survey karke Google Rewards Earn kare. Janiye kya hai Google Opinion Rewards or kaise kaam karta hai.
Iss Article me ham janege:
- Google Rewards kya hai.
- Google Rewards kaise Earn karte hai.
- Google Rewards kaha kaha use kar sakte hai.
- Google Rewards se jada Earn kaise kare.
Google Opinion Rewards Kya Hai
Google Opinion Rewards ek survey App hai jisme mobile App or services ka survey liya jata hai. Iss App ko Google ne Developed kiya hai jiska maksad hai servey ke jariye logo ka kis chij me kesa interest hai pata lagaya ja sake.
Jab bhi koi Servey karte hai App me, to uska rewards ke rup me kuch paise milte hai jo kahi bhi use kar sakte hai.
Google Play Store Se Google Opinion Rewards App Install Kare. Install Hone Ke Baad Open Kare.
Google Opinion Rewards se Earn kaise kare
Open karne Ke Baad Aapse Kuch Personal Details Mangega. Us Hisab Se Aapko Survey dene ke liye aayege.. Aap apni detail submit kar dege.. uske baad agar aapke liye koi servey hoga to aap Answer Survey par click karke wo servey de sakte hai.
Ab Hamein Kuch Disclaimer Dikhayega Jisme Survey Ki Thodi Jankari Hogi
Use Yes Kare.
Isake Baad Aasan Sa Survey aa jayega, usko Aap Fill Karte Jaye.
Tips: Jyada Play Credits Paane Ke Liye Hamesha Positive Answer Hi Select Kare Jisse Google Aapko Achhe Credits De
Ab Aapka Survey Complete Hone Ke Baad Aapke Play Credits Aapko De Diya Jayega Yaad Rakhe “Jo Play Credits Aapko Diye Jayenge Wo Is Din Se 1 Year Ki Validity Hoti Hai. Isliye Expire Hone Se Pahle Hi Spend Kar De.
Google Play Credits Ko Kahan Spend (Kharch) Kar Sakte Hai
Google Play Credits Ko Hum Google Ke Products Mein Spend Kar Sakte Hai.
- Apps – Google Play Store Se Koi Bhi Paid Apps Purchase (Kharid) Sakte Hai
- Games – Google Play Games Se Hum Kisi Bhi Paid Games Ko Buy Kar Sakte Hai.
- Movies – Google Play Movies Se Hum Paid Movies Buy Kar Sakte Hai.
- Books – Google Play Books Se Hum Koi Bhi Paid Books Buy Kar Sakte Hai
- Music – Google Play Music Se Online Koi Bhi Paid Music Buy Kar Sakte Hai
- Youtube Paid Movies – Youtube Par Available Koi Bhi Paid Movie Buy Kar Sakte Hai
Google Rewards Mein Jyada Survey Kaise Paye
Agar Aap Jyada Travel Ya Kahin Jate Hai To Google Aapse Har Jagah Visit Karne Par Wahan Se Related Survey Send Karega Jisse Jyada Credits Earn Kar Sake Iske Liye Hamein Kuch Settings Karni Padegi. Jisse Google Ko Pata Chale Ki Aapne Kahan Kahan Visit Kiya Jisse Aapko Survey Send Ho.
Step 1: Sabse Pahle App Settings Mein Jaye, Pahle Wale Ke Notification On Kar Dijiye Jisse Aapko Survey Available Hone Par Notification Receive Ho.
Step 2: Ab Niche Dikhaye Gaye SS Ki Tarah Dono Settings Ko On Kar Dijiye. Jisse Google Ko Pata Chal Jaye Aapane Recently Kaha Visit Kiya Mall, Market Etc…
Tips: Google Opinion Rewards Ko Kuch Din Tak Install Karke Rakhe Jisse Aapko Bahut Jaldi Jaldi Survey Milne lagege.
At Last:
Ab aap jaan chuke hai, kaise sirf apne review dekar aap google se paise earn kar sakte hai.
Agar Aapko Koi Dikkat Ya Questions Hai To comment karke jarur bataye.
The post Google Opinion Rewards Kya Hai or Kaise Earn Kare appeared first on Hindi Me Help.
from Hindi Me Help https://ift.tt/2NNFHXB
No comments:
Post a Comment